Ejaz Hai Kisi Ka Ya Gardish-e-zamana
ejaz hai kisi ka ya gardish-e-zamana
TuTa hai asia mein sehr-e-firangiyana
tamir-e-ashiyan se main ne ye raaz paya
ahl-e-nawa ke haq mein bijli hai aashiyana
ye bandagi KHudai wo bandagi gadai
ya banda-e-KHuda ban ya banda-e-zamana
ghafil na ho KHudi se kar apni pasbani
shayad kisi haram ka tu bhi hai aastana
ai la ilah ke waris baqi nahin hai tujh mein
guftar-e-dilbarana kirdar-e-qahirana
teri nigah se dil sinon mein kanpte the
khoya gaya hai tera jazb-e-qalandarana
raaz-e-haram se shayad 'iqbaal' ba-KHabar hai
hain is ki guftugu ke andaz mahramana
(3339) Peoples Rate This