Digar-gun Hai Jahan Taron Ki Gardish Tez Hai Saqi
digar-gun hai jahan taron ki gardish tez hai saqi
dil-e-har-zarra mein ghaugha-e-rusta-KHez hai saqi
mata-e-din-o-danish luT gai allah-walon ki
ye kis kafir-ada ka ghamza-e-KHun-rez hai saqi
wahi derina bimari wahi na-mohkami dil ki
ilaj is ka wahi aab-e-nashat-angez hai saqi
haram ke dil mein soz-e-arzu paida nahin hota
ki paidai teri ab tak hijab-amez hai saqi
na uTTha phir koi 'rumi' ajam ke lala-zaron se
wahi aab-o-gil-e-iran wahi tabrez hai saqi
nahin hai na-umid 'iqbaal' apni kisht-e-viran se
zara nam ho to ye miTTi bahut zarKHez hai saqi
faqir-e-rah ko baKHshe gae asrar-e-sultani
baha meri nawa ki daulat-e-parwez hai saqi
(2139) Peoples Rate This