Aql Go Aastan Se Dur Nahin
aql go aastan se dur nahin
us ki taqdir mein huzur nahin
dil-e-bina bhi kar KHuda se talab
aankh ka nur dil ka nur nahin
ilm mein bhi surur hai lekin
ye wo jannat hai jis mein hur nahin
kya ghazab hai ki is zamane mein
ek bhi sahib-e-surur nahin
ek junun hai ki ba-shuur bhi hai
ek junun hai ki ba-shuur nahin
na-suburi hai zindagi dil ki
aah wo dil ki na-subur nahin
be-huzuri hai teri maut ka raaz
zinda ho tu to be-huzur nahin
har guhar ne sadaf ko toD diya
tu hi aamada-e-zuhur nahin
areni main bhi kah raha hun magar
ye hadis-e-kalim-o-tur nahin
(2185) Peoples Rate This