Apni Jaulan-gah Zer-e-asman Samjha Tha Main

apni jaulan-gah zer-e-asman samjha tha main

aab o gil ke khel ko apna jahan samjha tha main

be-hijabi se teri TuTa nigahon ka tilism

ek rida-e-nil-gun ko aasman samjha tha main

karwan thak kar faza ke pech-o-KHam mein rah gaya

mehr o mah o mushtari ko ham-inan samjha tha main

ishq ki ek jast ne tai kar diya qissa tamam

is zamin o aasman ko be-karan samjha tha main

kah gain raaz-e-mohabbat parda-dari-ha-e-shauq

thi fughan wo bhi jise zabt-e-fughan samjha tha main

thi kisi darmanda rah-rau ki sada-e-dardnak

jis ko aawaz-e-rahil-e-karwan samjha tha main

(2267) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Apni Jaulan-gah Zer-e-asman Samjha Tha Main In English By Famous Poet Allama Iqbal. Apni Jaulan-gah Zer-e-asman Samjha Tha Main is written by Allama Iqbal. Read famous Poem Apni Jaulan-gah Zer-e-asman Samjha Tha Main for youth and Student by Allama Iqbal. Free Download Apni Jaulan-gah Zer-e-asman Samjha Tha Main in PDF.