Anokhi Waza Hai Sare Zamane Se Nirale Hain
anokhi waza hai sare zamane se nirale hain
ye aashiq kaun si basti ke ya-rab rahne wale hain
ilaj-e-dard mein bhi dard ki lazzat pe marta hun
jo the chhaalon mein kanTe nok-e-sozan se nikale hain
phala-phula rahe ya-rab chaman meri umidon ka
jigar ka KHun de de kar ye buTe main ne pale hain
rulati hai mujhe raaton ko KHamoshi sitaron ki
nirala ishq hai mera nirale mere nale hain
na puchho mujh se lazzat KHanaman-barbaad rahne ki
nasheman saikDon main ne bana kar phunk Dale hain
nahin beganagi achchhi rafiq-e-rah-e-manzil se
Thahar ja ai sharar hum bhi to aaKHir miTne wale hain
umid-e-hur ne sab kuchh sikha rakkha hai waiz ko
ye hazrat dekhne mein sidhe-sadhe bhole bhaale hain
mere ashaar ai 'iqbaal' kyun pyare na hon mujh ko
mere TuTe hue dil ke ye dard-angez nale hain
(2485) Peoples Rate This