Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_a612b20f18d458ef204e94fdb578935e, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Agar Kaj-rau Hain Anjum Aasman Tera Hai Ya Mera - Allama Iqbal Poetry In English - Darsaal

Agar Kaj-rau Hain Anjum Aasman Tera Hai Ya Mera

agar kaj-rau hain anjum aasman tera hai ya mera

mujhe fikr-e-jahan kyun ho jahan tera hai ya mera

agar hangama-ha-e-shauq se hai la-makan KHali

KHata kis ki hai ya rab la-makan tera hai ya mera

use subh-e-azal inkar ki jurat hui kyunkar

mujhe malum kya wo raaz-dan tera hai ya mera

mohammad bhi tera jibril bhi quran bhi tera

magar ye harf-e-shirin tarjuman tera hai ya mera

isi kaukab ki tabani se hai tera jahan raushan

zawal-e-adam-e-KHaki ziyan tera hai ya mera

(2317) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Agar Kaj-rau Hain Anjum Aasman Tera Hai Ya Mera In English By Famous Poet Allama Iqbal. Agar Kaj-rau Hain Anjum Aasman Tera Hai Ya Mera is written by Allama Iqbal. Read famous Poem Agar Kaj-rau Hain Anjum Aasman Tera Hai Ya Mera for youth and Student by Allama Iqbal. Free Download Agar Kaj-rau Hain Anjum Aasman Tera Hai Ya Mera in PDF.