Aalam-e-ab-o-KHak-o-baad Sirr-e-ayan Hai Tu Ki Main

aalam-e-ab-o-KHak-o-baad sirr-e-ayan hai tu ki main

wo jo nazar se hai nihan us ka jahan hai tu ki main

wo shab-e-dard-o-soz-o-gham kahte hain zindagi jise

us ki sahar hai tu ki main us ki azan hai tu ki main

kis ki numud ke liye sham o sahar hain garm-e-sair

shana-e-rozgar par bar-e-giran hai tu ki main

tu kaf-e-KHak o be-basar main kaf-e-KHak o KHud-nigar

kisht-e-wajud ke liye aab-e-rawan hai tu ki main

(2264) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aalam-e-ab-o-KHak-o-baad Sirr-e-ayan Hai Tu Ki Main In English By Famous Poet Allama Iqbal. Aalam-e-ab-o-KHak-o-baad Sirr-e-ayan Hai Tu Ki Main is written by Allama Iqbal. Read famous Poem Aalam-e-ab-o-KHak-o-baad Sirr-e-ayan Hai Tu Ki Main for youth and Student by Allama Iqbal. Free Download Aalam-e-ab-o-KHak-o-baad Sirr-e-ayan Hai Tu Ki Main in PDF.