Tu Hai Kis Manzil Mein Tera Bol Khan Hai Dil Ka Thaar
tu hai kis manzil mein tera bol khan hai dil ka Thaar
dam tera aata hai khan sun bol khan jata hai bhaar
dam ke tain bujha so kahte is ke tain insan hai
nahin to surat aadmi sirat mein hai misl-e-himar
main kahta so kaun hai aur tu samajhta hai kise
kyun abas main tu mein paD kar be-abas hota hai KHwar
rahbar hai kaun tera bol tu kis ka faqir
faqr ka kya hasila samjha mujhe mat ho ganwar
aashiqan ke bazm mein ek rang ho ai bul-hawas
mat kaha bulbul naman chaunDa phula kar tajdar
bahar ke ghawwas se mat bahs kar ai KHam-taba
nahin gaya hai umr mein apne tu dariya ke kanar
kaj-bahas aata hai karne jang jab ushshaq sun
jyun ki tair-e-haft-rangi ho gaya aa kar shikar
puchhta aaya hun jo kuchh swal ka mere jawab
thartharaata hai abas simab namne be-qarar
ta kahe lag jwab tujh par faqr ka luqma haram
bazm-e-rindan sun nikal ja jald-tar ho kar farar
shor aur ghaugha abas karta hai kyun rang kar libas
munh uTha jata hai jyun be-qaid shutr-e-be-mahaar
ai 'alimullah' na kar kaj-bahas sun swal o jawab
hasila tarfain nahin hota ba-juz ghaugha pukar
(908) Peoples Rate This