Tezi Tere Mizhgan Ki Ye Nashtar Se Kahunga
tezi tere mizhgan ki ye nashtar se kahunga
abru ki shikayat dam-e-KHanjar se kahunga
ham-rang-e-shama ishq mein tere hun wa-lekin
ye soz-e-jigar aatish mujmar se kahunga
dekha hun main jis rose se tujh husn ka jhalka
hai dil mein kabhi jama-e-anwar se kahunga
tangi jo tere pista-dahan ki hai sarasar
sar-basta suKHan ghuncha-e-jauhar se kahunga
sairab na hun tujh lab-e-shirin se agar main
ye tishna-labi chashma-e-kausar se kahunga
bujha hai 'alim' aaj ki hai husn ka tu ganj
ye KHush-KHabari aashiq-e-be-zar se kahunga
(867) Peoples Rate This