Rah Mein Haq Ke Azizan Aapko Qurban Karo
rah mein haq ke azizan aap ko qurban karo
ya nahin us par tasadduq apna jism-o-jaan karo
salikan kab lag chaloge rah mein haq ke mor chal
ishq ki tezi ko apne chheD kar jaulan karo
kan talak KHatir rakhoge aarzu mein tang kar
ghuncha-dil baad-e-saba sun ishq ke KHandan karo
aql-e-nafsani tuman mein burqa-e-haiwan hai
phaD kar parda nazar ka aap ko insan karo
KHana-e-dil ko rakho aabaad haq ki yaad sun
ishq ki aatish sun tan ko jal kar viran karo
toD kar tan ko karo barik parde ki misal
sham-e-nurani laga fanus-e-tan taban karo
dekhte raho roz-o-shab ankhiyan sun tum rab ka jamal
nain ki thaali mein is ko jyun durr-e-ghaltan karo
pherte raho did ka manka nazar ke tar mein
raat din ankhiyan ko apni is taraf gardan karo
(751) Peoples Rate This