Piya Ke RuKH Ki Jhalak Ka Partaw Kiya Hai Jhalkar Aaftabi
piya ke ruKH ki jhalak ka partaw kiya hai jhalkar aaftabi
nazar sun aalam ke ho rahi hai misal-e-KHuffash be-hijabi
jise wo chahta hai mukh dikhane usi ko hai tab dekhne ka
wahi samajh baKHsh murshid un ka talab hai tun mang ja shitabi
agar mile tujh ko chashm-e-baatin wahi hai maqsud aaqibat se
wagarna tahqiq-e-do-jahan mein nahin hai hasil ba-juz KHarabi
usi ko kahte hain kor baatin jise nahin haiga did us ka
na pawega wo najat hargiz agarche wo ilm hai kitabi
karim murshid ne chashm-e-baatin kiya nawazish 'alim' ke tain
wasa haqiqat ke ghan ka KHurshid gai nikal kar nazar sarabi
(813) Peoples Rate This