Laga Kar Ishq Ka Kajra Nayan Ko
laga kar ishq ka kajra nayan ko
dikhaun yan seti hubbulwatan ko
bazan le jaun har lahze mein ek bar
ki jab lag ruh sun rishta hai tan ko
rahe aalam mein us ka sair aur tair
na dekhe us ke kui mastane-pan ko
chaman sun dil ke aalam ko KHabar nahin
hamesha dekhte KHaki badan ko
kar aaun sair dil ke bostan ka
na jawe wo kabhi hargiz chaman ko
dikhaun yar ke zulfan sun yak tar
na chahe phir kabhi mushk-e-KHutan ko
na tha aadam atha wo zat-e-mutlaq
sunaun ye sada ab tujh kiran ko
sadaf mein nain ke dikhlaun gauhar
na rakhe aarzu durr-e-adan ko
nahin gauhar wo hain jyun chand aur sur
'alimullah' jahan ke anjuman ko
(961) Peoples Rate This