Husn Ka Dekh Har Taraf Gulzar
husn ka dekh har taraf gulzar
andaliban hue hain dil-afgar
ishq ki mai sun jo hua sarmast
dil hua us ka KHana-e-KHummar
yar aaya hai jab mualij ho
dard-e-furqat mein nahin raha bimar
aap aashiq hai husn par apne
hai mere jaan ka ajab asrar
kahin aashiq kahin hua dilbar
kahin mashuq kin hua dildar
kin hua shams kin hua hai qamar
kin hua nur kin hua hai nar
kin hua arz kin hua hai falak
kin hua bahar kin hua ashjar
kin hua ins kin hua hai malak
kin hua did kin hua didar
kin payambar kahin hua hai wali
kin hua shaiKH kin hua zunnar
kin hai qazi kahin hua mufti
kin hua mast kin hua abrar
kin hua jaan kin hua jaanan
sab mein hai aur kahin sabhon se par
haq mein haq ho sada anal-haq bol
dekh mansur kyun chaDha hai dar
ik-pana zat ka 'alimullah'
shara bin ghair kuchh na kar takrar
(864) Peoples Rate This