Ghaflat Mein Soya Ab Tilak Phir Howega Hoshyar Kab
ghaflat mein soya ab tilak phir howega hoshyar kab
yari lagaya KHalq sun pawega apna yar kab
jhuTi mohabbat bandh kar ghafil raha apne sun haif
bulbul hun sanpDa dam mein dekhega phir gulzar kab
ye KHwab-o-KHur farzand-o-zan aur mal-o-zar zindan hua
to chhuT kar is qaid sun hasil kare didar kab
hirs-o-hawa bughz-o-hasad kibr-o-mani buKHl o jahal
is rah-zanan sun bach kar howega bar-KHurdar kab
is nafs-e-kafir-kesh ki KHaslat tujhe malum nahin
gar qatl kita nahin use tujh ko mile dildar kab
bin pir pahuncha nahin kabhi kui sahil-e-maqsud ko
mallah bin kashti kahin hoti hai dariya par kab
bar-haq 'alimullah' kaha rab qaul yahdi-main-yasha
jannat ke talib ko kaho aawe nazar didar kab
(888) Peoples Rate This