Dilbar Ko Dilbari Sun Mana Yar Kar Rakhun

dilbar ko dilbari sun mana yar kar rakhun

pitam ko apne pit sun gulhaar kar rakhun

ek naum sun jagaun agar murda dil ke tain

ta-hashr yaad-e-haq mane bedar kar rakhun

rahta hai dil har ek ka har ek kaam mein ek

apna KHayal surat-e-parkar kar rakhun

dista hai mujh ko yar ka ruKHsar-e-gul-izar

tis ki KHushi sun taba ko gulzar kar rakhun

manke ko man ke laun phirane ka jab KHayal

tasbih badan ki toD ke ek tar kar rakhun

pitam ke baj nahin hai mera iKHtiyar kuchh

mujh dil ko tis ke amr mein muKHtar kar rakhun

be-sar agar achhe to use sar karun ata

donon jahan mein sahab-e-asrar kar rakhun

andhe ke tain 'alim' laga ishq ka anjan

sab wasilan mein wasil-e-didar kar rakhun

(816) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dilbar Ko Dilbari Sun Mana Yar Kar Rakhun In English By Famous Poet Alimullah. Dilbar Ko Dilbari Sun Mana Yar Kar Rakhun is written by Alimullah. Read famous Poem Dilbar Ko Dilbari Sun Mana Yar Kar Rakhun for youth and Student by Alimullah. Free Download Dilbar Ko Dilbari Sun Mana Yar Kar Rakhun in PDF.