Apne Se Be-samajh Ko Haq Ki Kahan Pachhanat
apne se be-samajh ko haq ki kahan pachhanat
'man-arafa' ko na bujha 'qad-arafa' sun jihaalat
hai farz bujh awwal apna pichhe KHuda ko
be-bujh bandagi hai sab ranj aur malamat
jannat ki tu mazduri bujha hai bandagi ko
baKHshish nahin hai hargiz juz lutf aur inayat
hirs-o-hawa mein paD kar haq sun hua hai baatil
phir mangta hai jannat kya nafs-e-bad-KHasalat
bin qalb ki huzuri manzur kyun paDega
roza namaz rasmi sajda sujud taat
mabud ke muqabil aabid ko abadiyat hai
ghibat mein chup rijhana kya mahz hai KHajalat
tan nafs aur dil ruh sar nur-e-zat mil kar
apne mein haq ko pana hai afzalulibaadat
bin pir ke KHuda ko paya na koi hargiz
kaamil ko kyun pacchane be-sidq o be-hidayat
nahin hai 'alim' ko sach taqwa amal pe apne
didar ka sanam ke kafi hai istaqamat
(744) Peoples Rate This