Aaya Hai Magar Ishq Mein Dildar Hamara
aaya hai magar ishq mein dildar hamara
har tan mein hua jaan har ek jism ka nyara
be-misl us ke husn ko kahte hain do-alam
dista hai har ek KHalq ko apne sun piyara
man-kan na ho yar ke darsan ko na jaane
aaya nahin kui phir ke jahan bich dobara
us sham-e-daraKHshan ko apas sath tu le ja
war nahin to qabar bich hai zulmat andhaara
karne mein jama zar ke ganwata hai umar kyun
aaKHir ko nikal jaega sab chhoD zarara
farzand-o-azizan sakal KHwesh qabila
duniya hai daghabaz nahin koi tumhaara
behad hai 'alim' ishq ke talim ka tumar
paya nahin kui ishq ke dariya ka kinara
(737) Peoples Rate This