Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_f821ff01d66c811d0bee8ff028d2ef1f, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Sadaon Ke Jangal Mein Wo KHamushi Hai - Alimullah Hali Poetry In English - Darsaal

Sadaon Ke Jangal Mein Wo KHamushi Hai

sadaon ke jangal mein wo KHamushi hai

ki main ne har aawaz teri suni hai

udasi ke aangan mein teri talab ki

ajab KHushnuma ek kali khil rahi hai

naya rang tha us ka kal waqt-e-ruKHsat

ki jaise kisi baat par barhami hai

use de ke sab kuchh main ye sochta hun

use aur kya dun abhi kuchh kami hai

wahi lamha lamha lahakna abhi tak

abhi tak usi yaad ki sholagi hai

sabilen mere nam ki aur bhi hain

magar pyas mujh ko teri bund ki hai

tera nam lun samne sab ke 'haali'

ye chahat mere dil ko ab kaTti hai

(725) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Sadaon Ke Jangal Mein Wo KHamushi Hai In English By Famous Poet Alimullah Hali. Sadaon Ke Jangal Mein Wo KHamushi Hai is written by Alimullah Hali. Read famous Poem Sadaon Ke Jangal Mein Wo KHamushi Hai for youth and Student by Alimullah Hali. Free Download Sadaon Ke Jangal Mein Wo KHamushi Hai in PDF.