Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_52a8afec7a0e4fda647801e21d83e628, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Sukut-e-sham Ka Hissa Tu Mat Bana Mujhko - Ali Zaryoun Poetry In English - Darsaal

Sukut-e-sham Ka Hissa Tu Mat Bana Mujhko

sukut-e-sham ka hissa tu mat bana mujh ko

main rang hun so kisi mauj mein mila mujh ko

main in dinon teri aankhon ke iKHtiyar mein hun

jamal-e-sabz kisi tajrabe mein la mujh ko

main buDhe jism ki zillat uTha nahin sakta

kisi qadim tajalli se kar naya mujh ko

main apne hone ki takmil chahta hun sakhi

so ab badan ki hirasat se kar riha mujh ko

mujhe charagh ki hairat bhi ho chuki malum

ab is se aage koi rasta bata mujh ko

us ism-e-KHas ki tarkib se bana hun main

mohabbaton ke talaffuz se kar naya mujh ko

darun-e-sina jise dil samajh raha tha 'ali'

wo nili aag hai ye ab pata chala mujh ko

(6342) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Sukut-e-sham Ka Hissa Tu Mat Bana Mujhko In English By Famous Poet Ali Zaryoun. Sukut-e-sham Ka Hissa Tu Mat Bana Mujhko is written by Ali Zaryoun. Read famous Poem Sukut-e-sham Ka Hissa Tu Mat Bana Mujhko for youth and Student by Ali Zaryoun. Free Download Sukut-e-sham Ka Hissa Tu Mat Bana Mujhko in PDF.