Na Aasman Ki Kahani Na Wan Ka Qissa Likh
na aasman ki kahani na wan ka qissa likh
uTha dawat o qalam aadmi ka chehra likh
hazar shor sameTe hue hai mera wajud
mere wajud ke sahra ko chashm-e-dariya likh
bina-e-mausam-e-gham-ha-e-zat hai duniya
ise tu rashk-e-iram likh ki shaKH-e-tuba likh
wo nur phaila wo phuTi koi kiran taza
tamam umr andhera hi tha na aisa likh
jo maut pi gaya ek jam-e-ambagin ki tarah
use tu maut ki manzil ka ek masiha likh
wo ajnabi to zara ajnabi nahin lagta
use to ghair na kah koi hai wo apna likh
bichhaD gaya hai to kya sath bhi to tha barson
'zahir' ruh o badan ka use tu rishta likh
(776) Peoples Rate This