Pahle Bhi Kaun Sath Tha

pahle bhi kaun sath tha

ab jo koi nahin raha

waqt sitam-zarif tha

waqt ka phir bhi kya gila

kaisi ajib sham thi

kaisa ajib waqia

kahne ko kah rahe hain log

main ne tujhe bhula diya

qissa ye hai ki main tujhe

dil se kahan bhula saka

tark-e-talluqat ka

baqi hai ek marhala

baqi hai ab bhi zehn mein

KHwabon ka ek silsila

ishq se nisbaton mein hai

mere safar ka rasta

sham hui to chal paDa

hijr-zadon ka qafila

koh-kani se rabt hai

nam-o-nasab ka zikr kya

(734) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Pahle Bhi Kaun Sath Tha In English By Famous Poet Ali Wijdan. Pahle Bhi Kaun Sath Tha is written by Ali Wijdan. Read famous Poem Pahle Bhi Kaun Sath Tha for youth and Student by Ali Wijdan. Free Download Pahle Bhi Kaun Sath Tha in PDF.