UTho
uTho hind ke baghbano uTho
uTho inqilabi jawano uTho
kisanon uTho kaam-garo uTho
nai zindagi ke shararo uTho
uTho khelte apni zanjir se
uTho KHak-e-bangal-o-kashmir se
uTho wadi o dasht o kohsar se
uTho sindh o punjab o malbar se
uTho malwe aur mewat se
maharashtra aur gujraat se
awadh ke chaman se chahakte uTho
gulon ki tarah se mahakte uTho
uTho khul gaya parcham-e-inqalab
nikalta hai jis tarah se aaftab
uTho jaise dariya mein uThti hai mauj
uTho jaise aandhi ki baDhti hai fauj
uTho barq ki tarah hanste hue
kaDakte garajte baraste hue
ghulami ki zanjir ko toD do
zamane ki raftar ko moD do
(966) Peoples Rate This