Urdu
hamari pyari zaban urdu
hamari naghmon ki jaan urdu
hasin dilkash jawan urdu
zaban wo dhul ke jis ko ganga ke jal se pakizgi mili hai
awadh ki ThanDi hawa ke jhonke se jis ke dil ki kali khili hai
jo sher-o-naghma ke KHuld-zaron mein aaj koyal si kukti hai
isi zaban mein hamare bachpan ne maon se loriyan suni hain
jawan ho kar isi zaban mein kahaniyan ishq ne kahi hain
isi zaban ko chamakte hiron se ilm ki jholiyan bhari hain
isi zaban se watan ke honTon ne nara-e-inqilab paya
isi se angrez hukmaranon ne KHud-sari ka jawab paya
isi se meri jawan tamanna ne shaeri ka rabab paya
ye apne naghmat-e-pur-asar se dilon ko bedar kar chuki hai
ye apne naron ki fauj se dushmanon pe yalghaar kar chuki hai
sitamgaron ki sitamgari par hazar-ha war kar chuki hai
koi batao wo kaun sa moD hai jahan hum jhijak gae hain
wo kaun si razm-gah hai jis mein ahl-e-urdu dubak gae hain
wo hum nahin hain jo baDh ke maidan mein aae hon aur ThiThak gae hain
ye wo zaban hai ki jis ne zindan ki tirgi mein diye jalae
ye wo zaban hai ki jis ke shoalon se jal gae phansiyon ke sae
faraaz-e-dar-o-rasan se bhi hum ne sarfaroshi ke git gae
kaha hai kis ne hum apne piyare watan mein bhi be-watan rahenge
zaban chhin jaegi hamare dahan se hum be-suKHan rahenge
hum aaj bhi kal ki tarah dil ke sitar par naghma-zan rahenge
ye kaisi baad-e-bahaar hai jis mein shaKH-e-urdu na phal sakegi
wo kaisa ru-e-nigar hoga na zulf jis par machal sakegi
hamein wo aazadi chahiye jis mein dil ki mina ubal sakegi
hamein ye haq hai hum apni KHak-e-watan mein apna chaman sajaen
hamari hai shaKH-e-gul to phir kyun na us pe hum aashiyan banaen
hum apne andaz aur apni zaban mein apne git gaen
kahan ho matwalo aao bazm-e-watan mein hai imtihan hamara
zaban ki zindagi se wabasta aaj sud o ziyan hamara
hamari urdu rahegi baqi agar hai hindostan hamara
chale hain gang-o-jaman ki wadi mein hum hawa-e-bahaar ban kar
himaliya se utar rahe hain tarana-e-abshaar ban kar
rawan hain hindostan ki rag rag mein KHun ki surKH dhaar ban kar
hamari pyari zaban urdu
hamari naghmon ki jaan urdu
hasin, dilkash jawan urdu
(989) Peoples Rate This