Tashqand Ki Sham
manao jashn-e-mohabbat ki KHun ki bu na rahi
baras ke khul gae barud ke siyah baadal
bujhi bujhi si hai jangon ki aaKHiri bijli
mahak rahi hai gulabon se tashqand ki sham
jagao gesu-e-jaanan ki ambarin raaten
jalao saad-e-simin ki sham-e-kafuri
tawil boson ke gul-rang jam chhalkao
ye surKH jam hai KHuban-e-tashqand ke nam
ye sabz jam hai lahore ke hasinon ka
safed jam hai dilli ke dilbaron ke liye
ghula hai jis mein mohabbat ke aaftab ka rang
khuli hui hai ufuq par shafaq tabassum ki
nasim-e-shauq chali mehrban takallum ki
labon ki shoala-fishani hai shabnam-afshani
isi mein subh-e-tamanna naha ke nikhregi
kisi ki zulf na ab sham-e-gham mein bikhregi
jawan KHauf ki wadi se ab na guzrenge
jiyale maut ke sahil pe ab na utrenge
bhari na jaegi ab KHak-o-KHun se mang kabhi
milegi man ko na marg-e-pisar ki KHush-KHabari
koi na dega yatimon ko ab mubarakbaad
khilenge phul bahut sarhad-e-tamanna par
KHabar na hogi ye nargis hai kis ki aaankhon ki
ye gul hai kis ki jabin kis ka lab hai ye lala
ye shaKH kis ke jawan bazuon ki angDai
bas itna hoga ye dharti hai shahsawaron ki
jahan-e-husn ke gumnam tajdaron ki
ye sarzamin hai mohabbat ke KHwastgaron ki
jo gul pe marte the shabnam se pyar karte the
KHuda kare ki ye shabnam yun hi barasti rahe
zamin hamesha lahu ke liye tarasti rahe
(910) Peoples Rate This