Sar-e-tur
dil ko be-tab rakhti hai ek aarzu
kam hai ye wusat-e-alam-e-rang-o-bu
le chali hai kidhar phir nai justuju
ta-ba hadd-e-nazar uD ke jate hain hum
wo jo hail the rahon mein shams o qamar
ham-safar un ko apna banate hain hum
hai zamin parda-e-lala-o-nastaran
aasman parda-e-kahkashan hai abhi
raaz-e-fitrat hua lakh hum par ayan
raaz-e-fitrat nihan ka nihan hai abhi
jis ki sadiyon udhar hum ne ki ibtida
na-tamam apni wo dastan hai abhi
manzilen uD gain ban ke gard-e-safar
rahguzaron hi mein karwan hai abhi
pi ke nakaamiyon ki sharab-e-kuhan
apna zauq-e-tajassus jawan hai abhi
hath kaTe gae jurat-e-shauq par
KHun-chakan ho ke wo gul-fishan ho gae
hairaton ne lagai jo mohr-e-sukut
lab KHamoshi mein jadu bayan ho gae
raste mein jo kohsar aae to hum
aise taDpe ki sail-e-rawan ho gae
hain azal se zamin ke kure par amir
ho ke mahdud hum be-karan ho gae
zuaq-e-parwaz bhi dil ki ek jast hai
KHak se zinat-e-asman ho gae
aql-chaalak ne di hai aa kar KHabar
ek shabistan hai aiwan-e-mahtab mein
muntazir hain nigaran-e-atish-badan
jagmagati fazaon ki mehrab mein
kitne dilkash hasin KHwab bedar hain
mah o mirriKH ki chashm-e-be-KHwab mein
khinch phir zulf-e-mashuq-e-nil-gun
le le shole ko phir dast-e-betab mein
muzhda ho mah-jabinan-e-aflak ko
bazm-e-giti ka sahab nazar aa gaya
tahniyat husn ko be-naqabi ki do
dida-war aa gaya parda-dar aa gaya
aasman se gira tha jo kal TuT kar
wo sitara ba-dosh-e-qamar aa gaya
le ke paimana-e-dard-e-dil hath mein
mal ke chehre pe KHun-e-jigar aa gaya
bazm-e-sayyargan-e-falak-sair mein
ek hunar-mand sayyara-gar aa gaya
shauq ki had magar chand tak to nahin
hai abhi rifat-e-asman aur bhi
hai surayya ke pichhe surayya rawan
kahkashan se pare kahkashan aur bhi
jhankti hain fazaon ke pechaak se
rang aur nur ki wadiyan aur bhi
aur bhi manzilen, aur bhi mushkilen
hain abhi ishq ke imtihan aur bhi
aaj dast-e-junun par hai sham-e-KHirad
do jahan jis ke shole se mamur hain
le ke aaen payam-e-tulu-e-sahar
jitne suraj KHalaon mein mastur hain
kah do barq-e-tajalli se ho jalwa-gar
aaj musa nahin hum sar-e-tur hain
(1396) Peoples Rate This