Pairahan-e-sharar
khaDa hai kaun ye pairahan-e-sharar pahne
badan hai chur to mathe se KHun jari hai
zamana guzra ki farhad o qais KHatm hue
ye kis pe ahl-e-jahan hukm-e-sang-bari hai
yahan to koi bhi shirin ada-nigar nahin
yahan to koi bhi laila badan-bahaar nahin
ye kis ke nam pe zaKHmon ki lala-kari hai
koi diwana hai leta hai sach ka nam ab tak
fareb-o-makr ko karta nahin salam ab tak
hai baat saf saza is ki sang-sari hai
(922) Peoples Rate This