Niwala
man hai resham ke kar-KHane mein
bap masruf suti mill mein hai
kokh se man ki jab se nikla hai
bachcha kholi ke kale dil mein hai
jab yahan se nikal ke jaega
kar-KHanon ke kaam aaega
apne majbur peT ki KHatir
bhuk sarmae ki baDhaega
hath sone ke phul uglenge
jism chandi ka dhan luTaega
khiDkiyan hongi bank ki raushan
KHun us ka diye jalaega
ye jo nanha hai bhola-bhaala hai
sirf sarmae ka niwala hai
puchhti hai ye us ki KHamoshi
koi mujh ko bachane wala hai
(2944) Peoples Rate This