Mere Azizo, Mere Rafiqo
mere azizo, mere rafiqo
meri communism se ho KHaif
meri tamanna se Dar rahe ho
magar mujhe kuchh gila nahin hai
tumhaari ruhon ki sadgi se
tumhaare dil ki sanam-gari se
mujhe ye mahsus ho raha hai
ki jaise begana hawa bhi tak
tum apne andaz-e-dilbari se
ki jaise waqif nahin abhi tak
sitamgaron ki sitamgari se
fareb ne jin ke aadmi ko
haqir o buzdil bana diya hai
haqiqaton ke muqable mein
farar karna sikha daya hai
tumhein ye jis din pata chalega
hayat rang-e-hina nahin hai
hayat husn-e-butan nahin hai
ye ek KHanjar-ba-kaf karishma
ek zahrila jam-e-mai hai
hamari piri ho ya jawani
malul o afsurda zindagani
shikasta-e-naghma shikasta-e-nai hai
tumhein ye jis din pata chalega
tassubaat-e-kuhan ke parde
tumhaari aankhon mein jal-bujhenge
ye tum ne kaise samajh liya hai
ki dil mera ishq se hai KHali
meri nazar husn se hai aari
qarib aao tumhein bataun
mujhe mohabbat hai aadmi se
mujhe mohabbat hai zindagi se
mujhe mohabbat hai mah-jabinon
se, gul-ruKHon se saman-e-baron se
kitabon se, roTiyon se, phulon se
pattharon se, samundaron se
meri nigah mein base hue hain
hazar andaz-e-dil-rubai
main apne sine ko chaak kar ke
agar tumhein apna dil dikhaun
to tum ko har zaKHm ke chaman mein
hazar sarw-e-rawan milenge
udas maghmum wadiyon mein
hazar-ha naghma-KHwan milenge
hazar aariz, hazar shamen
hazar qamat, hazar ghazlen
subuk-KHaraman ghazal jaise
hazar arman hazar umiden
falak pe taron ke jal jaise
magar koi toDe de raha hai
larazti mizhgan ke nashtaron ko
dilon ke andar utarta hai
koi siyasat ke KHanjaron ko
kisi ke zahrile tez naKHun
uqab ke panja-ha-e-KHunin
ki tarah aankhon pe aa rahe hain
gulab se tan misal-e-bismil
zamin par tilmila rahe hain
jo pyas pani ki muntazir thi
wo suliyon par Tangi hui hai
wo bhuk roTi jo mangti thi
salib-e-zar par chaDhi hui hai
ye zulm kaisa, sitam ye kya hai
main sochta hun ye kya junun hai
jahan mein nan-e-jawin ki qimat
kisi ki ismat, kisi ka KHun hai
tumhin batao mere azizo
mere rafiqo, tumhin batao
ye zindagi para para kyun hai
hamari pyari hasin zamin par
ye qatl-gah ka nazara kyun hai
mujhe batao ki aaj kaise
siyah barud ki lakiren
kaTile kajal, sajile surme
ke bankpan se ulajh gai hain
KHizan ke kanTon ki ungliyan kyun
har ek chaman se ulajh gai hain
mujhe batao lahu ne kaise
hina ke jadu ko dho diya hai
hayat ke pairahan ko insan
ke aansuon ne bhigo diya hai
bata sako to mujhe batao
ki saz naghmon se kyun hain ruThe
bata sako to mujhe batao
ki tar kyun paD gae hain jhuTe
mere azizo, mare rafiqo
meri communism kuchh nahin hai
ye ahd-e-hazir ki aabru hai
meri communism kuchh nahin hai
ye ahd-e-hazir ki aabru hai
meri communism zindagi ko
hasin banane ki aarzu hai
ye ek masum justuju hai
tumhaare dil mein bhi shayad aisi
koi jawan-sal aarzu ho
koi ubalti hui surahi
koi mahakta hua subu ho
zara ye samjho mere azizo
mere rafiqo zara ye socho
tumhaare qabze mein kya nahin hai
tumhaari Thokar se jag uThegi
tumhaare qadmon mein jo zamin hai
bas ek itni kami hai yaro
ki zauq begana-e-yaqin hai
tumhaari aankhon hi mein hai sab kuchh
tumhaari aankhon mein sab jahan hai
tumhaari palkon ke niche dharti
tumhaari palkon par aasman hai
tumhaare hathon ki jumbihson mein
hai ju-e-rang-e-bahaar dekho
na dekho is be-sutun-e-gham ko
tum apne teshon ki dhaar dekho
tum apne teshe uTha ke lao
main le ke apni kudal niklun
hazar-ha sal ke masaib
hazar-ha sal ke mazalim
jo ruh o dil par pahaD ban kar
hazar-ha sal se dhare hain
hum apne teshon ki zarb-e-kari
se un ke sinon ko chhed Dalen
ye hai sirf ek shab ki mehnat
jo ahd kar len to hum sahar tak
hayat-e-nau ke nae ajanta
nae ellora tarash Dalen
(1125) Peoples Rate This