Infiradiyat
aa raha hai ek sitara aasman se TuT kar
dauDta apne junun ki rah par diwana-war
apne dil ke shoala-e-sozan mein KHud jalta hua
muntashir karta hua daman-e-zulmat mein sharar
apni tanhai pe KHud hi naz farmata hua
shauq par karta hua aain-e-fitrat ko nisar
kis qadar bebak kitna tez kitna garm-rau
jis se sayyaron ki aasuda-KHirami sharmsar
mauja-e-dariya ishaaron se bulati hai qarib
apni sangin god phailae hue hai kohsar
hai hawa bechain aanchal mein chhupane ke liye
baDh raha hai kurra-e-giti ka shauq-e-intizar
lekin aisa anjum-e-raushan-jabin o tabnak
KHud hi ho jata hai apni tabnaki ka shikar
(785) Peoples Rate This