Dosti Ka Hath
tumhaara hath baDha hai jo dosti ke liye
mere liye hai wo ek yar-e-gham-gusar ka hath
wo hath shaKH-e-gul-e-gulshan-e-tamanna hai
mahak raha hai mere hath mein bahaar ka hath
KHuda kare ki salamat rahen ye hath apne
ata hue hain jo zulfen sanwarne ke liye
zamin se naqsh miTane ko zulm o nafrat ka
falak se chand sitare utarne ke liye
zamin-e-pak hamare jigar ka TukDa hai
hamein aziz hai dehli o lucknow ki tarah
tumhaare lahje mein meri nawa ka lahja hai
tumhaara dil hai hasin meri aarzu ki tarah
karen ye ahd ki auzar-e-jang jitne hain
unhen miTana hai aur KHak mein milana hai
karen ye ahd ki arbab-e-jang hain jitne
unhen sharafat o insaniyat sikhana hai
jien tamam hasinan-e-KHaibar-o-lahore
jien tamam jawanan-e-jannat-e-kashmir
ho lab pe naghma-e-mahr-o-wafa ki tabani
kitab-e-dil pe faqat harf-e-ishq ho tahrir
tum aao gulshan-e-lahore se chaman-bardosh
hum aaen subh-e-banaras ki raushni le kar
himaliya ki hawaon ki tazgi le kar
phir is ke baad ye puchhen ki kaun dushman hai
(1307) Peoples Rate This