Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_2c97fbdfd009faa0a136e2cff94c6678, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Bahut Qarib Ho Tum - Ali Sardar Jafri Poetry In English - Darsaal

Bahut Qarib Ho Tum

bahut qarib ho tum phir bhi mujh se kitni dur

ki dil kahin hai nazar hai kahin kahin tum ho

wo jis ko pi na saki meri shola-ashami

wo kuza-e-shakar o jam-e-ambagin tum ho

mere mizaj mein aashuftagi saba ki hai

mili kali ki ada gul ki tamkanat tum ko

saba ki god mein phir bhi saba se begana

tamam husn o haqiqat tamam afsana

wafa bhi jis pe hai nazan wo bewafa tum ho

jo kho gai hai mere dil ki wo sada tum ho

bahut qarib ho tum phir bhi mujh se kitni dur

hijab-e-jism abhi hai hijab-e-ruh abhi

abhi to manzil-e-sad-mehr-o-mah baqi hai

hijab-e-fasla-ha-e-nigah baqi hai

visal-e-yar abhi tak hai aarzu ka fareb

(925) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Bahut Qarib Ho Tum In English By Famous Poet Ali Sardar Jafri. Bahut Qarib Ho Tum is written by Ali Sardar Jafri. Read famous Poem Bahut Qarib Ho Tum for youth and Student by Ali Sardar Jafri. Free Download Bahut Qarib Ho Tum in PDF.