Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_91863bc1fd92c5cd1f8c133e20f2a19f, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Zulm Ki Kuchh Miad Nahin Hai - Ali Sardar Jafri Poetry In English - Darsaal

Zulm Ki Kuchh Miad Nahin Hai

zulm ki kuchh miad nahin hai

dad nahin fariyaad nahin hai

qatl hue hain ab tak kitne

ku-e-sitam ko yaad nahin hai

aaKHir roen kis ko kis ko

kaun hai jo barbaad nahin hai

qaid chaman bhi ban jata hai

murgh-e-chaman aazad nahin hai

lutf hi kya gar apne muqabil

satwat-e-barq-o-baad nahin hai

sab hon shadan sab hon KHandan

tanha koi shad nahin hai

dawat-e-rang-o-nikhat hai ye

KHanda-e-gul barbaad nahin hai

(857) Peoples Rate This

Related Poetry

Your Thoughts and Comments

Zulm Ki Kuchh Miad Nahin Hai In English By Famous Poet Ali Sardar Jafri. Zulm Ki Kuchh Miad Nahin Hai is written by Ali Sardar Jafri. Read famous Poem Zulm Ki Kuchh Miad Nahin Hai for youth and Student by Ali Sardar Jafri. Free Download Zulm Ki Kuchh Miad Nahin Hai in PDF.