Ye Be-kas-o-be-qarar Chehre
ye be-kas-o-be-qarar chehre
sadiyon ke ye sogwar chehre
miTTi mein paDe damak rahe hain
hiron ki tarah hazar chehre
le ja ke inhen kahan sajaen
ye bhuk ke shikar chehre
africa-o-asia ki zinat
ye nadir-e-rozgar chehre
khoi hui azmaton ke waris
kal raat ke yaadgar chehre
ghaze se safed mai se rangin
is daur ke daghdar chehre
guzre hain nigah-o-dil se ho kar
har tarah ke be-shumar chehre
maghrur ana ke ghonsle mein
baiThe hue kam-ayar chehre
qabil-e-iltifat aankhen
na-qabil-e-e'tibar chehre
in sab se hasin-tar hain lekin
rindon ke gunahgar chehre
(820) Peoples Rate This