Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_0313287ef2a327b5f5feb01ce7f9f634, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Yaad Aae Hain Ahd-e-junun Ke Khoe Hue Dildar Bahut - Ali Sardar Jafri Poetry In English - Darsaal

Yaad Aae Hain Ahd-e-junun Ke Khoe Hue Dildar Bahut

yaad aae hain ahd-e-junun ke khoe hue dildar bahut

un se dur basai basti jin se hamein tha pyar bahut

ek ek kar ke khili thin kaliyan ek ek kar ke phul gae

ek ek kar ke hum se bichhDe bagh-e-jahan mein yar bahut

husn ke jalwe aam hain lekin zauq-e-nazara aam nahin

ishq bahut mushkil hai lekin ishq ke dawedar bahut

zaKHm kaho ya khilti kaliyan hath magar guldasta hai

bagh-e-wafa se hum ne chune hain phul bahut aur KHar bahut

jo bhi mila hai le aae hain dagh-e-dil ya dagh-e-jigar

wadi wadi manzil manzil bhaTke hain 'sardar' bahut

(747) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Yaad Aae Hain Ahd-e-junun Ke Khoe Hue Dildar Bahut In English By Famous Poet Ali Sardar Jafri. Yaad Aae Hain Ahd-e-junun Ke Khoe Hue Dildar Bahut is written by Ali Sardar Jafri. Read famous Poem Yaad Aae Hain Ahd-e-junun Ke Khoe Hue Dildar Bahut for youth and Student by Ali Sardar Jafri. Free Download Yaad Aae Hain Ahd-e-junun Ke Khoe Hue Dildar Bahut in PDF.