Wo Meri Dost Wo Hamdard Wo Gham-KHwar Aankhen
wo meri dost wo hamdard wo gham-KHwar aankhen
ek masum mohabbat ki gunahgar aankhen
shoKH-o-shadab-o-hasin sada-o-purkar aankhen
mast-o-sarshaar-o-jawan be-KHud-o-hoshiyar aankhen
tirchhi nazron mein wo uljhi hui suraj ki kiran
apne duzdida ishaaron mein giraftar aankhen
jumbish-e-abru-o-mizhgan kai KHunuk sae mein
aatish-afroz junun-KHez sharar-bar aankhen
kaifiyat dil ki sunati hui ek ek nigah
be-zaban ho ke bhi wo mail-e-guftar aankhen
mausam-e-gul mein wo uDte hue bhaunron ki tarah
ghuncha-e-dil pe wo karti hui yalghaar aankhen
kabhi chhalki hui sharbat ke kaToron ki tarah
aur kabhi zahr mein Dubi hui talwar aankhen
kabhi Thahri hui yaKH-basta ghamon ki jhilen
kabhi sahma hua simTa hua ek pyar aankhen
kabhi jhukte hue baadal kabhi girti bijli
kabhi uThti hui aamada-e-paikar aankhen
nok-e-abru mein kabhi talKHi-e-inkar liye
kabhi ghole hue shirini-e-iqrar aankhen
aanch mein apni jawani ki sulagti chitwan
shabnam-e-ashk mein dhoi hui gulnar aankhen
husn ke chand se mukhDe pe chamakte tare
hae aankhen wo harif-e-lab-o-ruKHsar aankhen
ishwa-o-ghamza-o-andaz-o-ada par nazan
apne pindar-e-jawani ki parastar aankhen
ruh ko rog mohabbat ka laga deti hain
sehat-e-dil jo ata karti hain bimar aankhen
sehn-e-zindan mein hai phir raat ke taron ka hujum
shama ki tarah farozan sar-e-diwar aankhen
(1750) Peoples Rate This