Uljhe KanTon Se Ki Khele Gul-e-tar Se Pahle
uljhe kanTon se ki khele gul-e-tar se pahle
fikr ye hai ki saba aae kidhar se pahle
jam-o-paimana-o-saqi ka guman tha lekin
dida-e-tar hi tha yan dida-e-tar se pahle
abr-e-naisan ki na barakat hai na faizan-e-bahaar
qatre gum ho gae tamir-e-guhar se pahle
jam gaya dil mein lahu sukh gae aankhon mein ashk
tham gaya dard-e-jigar rang-e-sahar se pahle
qafile aae to the naron ke parcham le kar
sar-nigun ho gai har aah asar se pahle
KHun-e-sar bah gaya maut aa gai diwanon ko
barish-e-sang se tufan-e-sharar se pahle
surKHi-e-KHun-e-tamanna ki mahak aati hai
dil koi TuTa hai shayad gul-e-tar se pahle
maqtal-e-shauq ke aadab nirale hain bahut
dil bhi qatil ko diya karte hain sar se pahle
(825) Peoples Rate This