Tumhaare Eajaz-e-husn Ki Mere Dil Pe Lakhon Inayaten Hain
tumhaare eajaz-e-husn ki mere dil pe lakhon inayaten hain
tumhaari hi den mere zauq-e-nazar ki sari latafaten hain
jawan hai suraj jabin pe jis ke tumhaare mathe ki raushni hai
sahar hasin hai ki us ke ruKH par tumhaare ruKH ki sabahaten hain
main jin bahaaron ki parwarish kar raha hun zindan-e-gham mein hamdam
kisi ke gesu-o-chashm-o-ruKHsar-o-lab ki rangin hikayaten hain
na jaane chhalkae jam kitne na jaane kitne subu uchhaale
magar meri tishnagi ki ab bhi teri nazar se shikayaten hain
main apni aankhon mein sail-e-ashk-e-rawan nahin bijliyan liye hun
jo sar-buland aur ghayur hain ahl-e-gham ye un ki riwayaten hain
main raat ki god mein sitare nahin sharare bikherta hun
sahar ke dil mein jo apne ashkon se bo raha hun baghawaten hain
ye shairi-e-nau ki paighambari zamane ki dawari hai
labon pe mere sahifa-e-inqilab ki surKH aayaten hain
(783) Peoples Rate This