Sitaron Ke Payam Aae Bahaaron Ke Salam Aae
sitaron ke payam aae bahaaron ke salam aae
hazaron nama-ha-e-shauq ahl-e-dil ke kaam aae
na jaane kitni nazren us dil-e-wahshi pe paDti hain
har ek ko fikr hai us ki ye shahin zer-e-dam aae
isi ummid mein betabi-e-jaan baDhti jati hai
sukun-e-dil jahan mumkin ho shayad wo maqam aae
hamari tishnagi bujhti nahin shabnam ke qatron se
jise saqi-gari ki sharm ho aatish-ba-jam aae
koi shayad hamare dagh-e-dil ki tarah raushan ho
hazaron aaftab is shauq mein baala-e-baam aae
inhen rahon mein shaiKH-o-muhtasib hail rahe akasr
inhen rahon mein huran-e-bahishti ke KHiyam aae
nigahen muntazir hain ek KHurshid-e-tamanna ki
abhi tak jitne mehr-o-mah aae na-tamam aae
ye aalam lazzat-e-taKHliq ka hai raqs-e-lafani
tasawwur-KHana-e-hairat mein lakhon subh-o-sham aae
koi 'sardar' kab tha is se pahle teri mahfil mein
bahut ahl-e-suKHan uTThe bahut ahl-e-kalam aae
(914) Peoples Rate This