Shama Ka Mai Ka Shafaq-zar Ka Gulzar Ka Rang
shama ka mai ka shafaq-zar ka gulzar ka rang
sab hain aur sab se juda hai lab-e-didar ka rang
aks-e-saqi se chamak uTThi hai saghar ki jabin
aur kuchh tez hua baada-e-gulnar ka rang
shaiKH mein himmat-e-rindan-e-qadah-KHwar kahan
ek hi jam mein aashufta hai dastar ka rang
un ke aane ko chhupaun to chhupaun kyun kar
badla badla sa hai mere dar-o-diwar ka rang
shafaq-e-subh-e-shahadat se hai tabinda jabin
warna aaluda-e-KHun tha ufuq-e-dar ka rang
aaftabon ki tarah jagi hai insan ki jot
jagmagata hai sira parda-e-asrar ka rang
waqt ki ruh munawwar hai nawa se meri
asr-e-nau mein hai meri shoKHi-e-afkar ka rang
(915) Peoples Rate This