ShaKH-e-gul Hai Ki Ye Talwar Khinchi Hai Yaro
shaKH-e-gul hai ki ye talwar khinchi hai yaro
bagh mein kaisi hawa aaj chali hai yaro
kaun hai KHauf-zada jashn-e-sahar se puchho
raat ki nabz to ab chhuT chali hai yaro
tak ke dil se dil-e-shisha-o-paimana tak
ek ek bund mein sau shama jali hai yaro
chum lena lab-e-lalin ka hai rindon ko rawa
rasm ye baada-e-gul-gun se chali hai yaro
sirf ek ghuncha se sharminda hai aalam ki bahaar
dil-e-KHun-gashta ke honTon pe hansi hai yaro
wo jo angur ke KHoshon mein thi manind-e-nujum
Dhal ke ab jam mein KHurshid bani hai yaro
bu-e-KHun aati hai milta hai bahaaron ka suragh
jaane kis shoKH sitamgar ki gali hai yaro
ye zamin jis se hai hum KHak-nashinon ka uruj
ye zamin chand sitaron mein ghiri hai yaro
jura-e-talKH bhi hai jam-gawara bhi hai
zindagi jashn-gah-e-baada-kashi hai yaro
(1041) Peoples Rate This