Shaikast-e-shauq Ko Takmil-e-arzu Kahiye
shaikast-e-shauq ko takmil-e-arzu kahiye
jo tishnagi ho to paimana-o-subu kahiye
KHayal-e-yar ko dijiye visal-e-yar ka nam
shab-e-firaq ko gaisu-e-mushk-bu kahiye
charagh-e-anjuman-e-hairat-e-nazara the
wo lala-ru jinhen ab dagh-e-arzu kahiye
mahak rahi hai ghazal zikr-e-zulf-e-KHuban se
nasim-e-subh ki manind ku-ba-ku kahiye
shikayaten bhi bahut hain hikayaten bhi bahut
maza to jab hai ki yaron ke ru-ba-ru kahiye
ba-hukm kijiye phir KHanjaron ki dildari
dahan-e-zaKHm se afsana-e-gulu kahiye
(1038) Peoples Rate This