Sard Hain Dil Aatish-e-ru-e-nigaran Chahiye
sard hain dil aatish-e-ru-e-nigaran chahiye
shoala-rang-e-bahaar-e-gul-ezaran chahiye
manzil-e-ishq-o-junun ke fasle hain sar-ba-kaf
in kaThin rahon mein lutf-e-dast-e-yaran chahiye
kaT rahi hai aur kaT chukti nahin fasl-e-KHizan
tez-tar ek aur tegh-e-nau-bahaaran chahiye
aaj mai-KHane mein sehr-e-chashm-e-saqi ke liye
iltifat-e-chashm mast-e-mai-gusaran chahiye
is dil-e-wahshi ki aazadi ka kya kije ilaj
ek kamand-e-gesu-e-yazdan-shikaran chahiye
naghma ban jata hai nala un ki bazm-e-naz mein
un ko KHush rakhne ko shor-e-sogwaran chahiye
aasmanon se baraste hain zamin par regzar
aaj phir 'sardar' raqs-e-barq-o-baran chahiye
(836) Peoples Rate This