Naghma-e-zanjir Hai Aur Shahr-e-yaran In Dinon
naghma-e-zanjir hai aur shahr-e-yaran in dinon
hai bahut ahl-e-junun shor-e-bahaaran in dinon
us wafa-dushman se paiman-e-wafa hai ustuwar
zer-e-sang-e-saKHt hai phir dast-e-yaran in dinon
mohtasib bhi halqa-e-rindan ka hai ummid-war
kam na ho jae waqar-e-mai-gusaran in dinon
tezi-e-tegh-e-ada ki shohraten hain dur dur
hai bahut aabaad ku-e-dil-figaran in dinon
dosto pairahan-e-jaan KHun-e-dil se surKH-tar
baDh gaya hai iltifat-e-gul-ezaran in dinon
ahl-e-dil par barish-e-lutf-e-nigah-e-dil-nawaz
mehrban hai ishq par chashm-e-nigaran in dinon
hai gada-e-mai-kada ke sar pe taj-e-khusrawi
kuza-gar ki gil hai KHak-e-shahr-e-yaran in dinon
kya ajab ishrat-kadon par bijliyan girne lagin
hai bahut sarkash nigah-e-sogwaran in dinon
(869) Peoples Rate This