Mausam-e-rang Bhi Hai Fasl-e-KHizan Bhi Tari
mausam-e-rang bhi hai fasl-e-KHizan bhi tari
dekhna KHun ke dhabbe hain ki hai gul-kari
us se har tarah se tazlil-e-bashar hoti hai
bais-e-faKHr nahin muflisi-o-na-dari
inqilabi ho to hai faqr bhi tauqir-e-hayat
warna hai aajizi-o-be-kasi-o-ayyari
shoala-e-gul ki baDha deti hai lau-e-baad-e-bahaar
tah-e-shabnam bhi dahak uThti hai ek chingari
lamha lamha hai ki hai qafila-e-manzil-e-nur
sarhad-e-shab mein bhi farman-e-sahar hai jari
tegh-o-KHanjar ko ata karte hain lafzon ki niyam
zulm ki karte hain jab ahl-e-sitam tayyari
harf-e-'sardar' mein poshida hain asrar-e-hayat
sher-e-'sardar' mein hai sarkashi-o-sar-shaari
sher-e-'sardar' mein hai shoala-e-be-bak ka rang
harf-e-'sardar' mein haq-goi-o-KHush-guftari
(915) Peoples Rate This