Masti-e-rindana Hum Sairabi-e-mai-KHana Hum
masti-e-rindana hum sairabi-e-mai-KHana hum
gardish-e-taqdir se hain gardish-e-paimana hum
KHun-e-dil se chashm-e-tar tak chashm-e-tar se ta-ba-KHak
kar gae aaKHir gul-o-gulzar har virana hum
kya bala jabr-e-asiri hai ki aazadi mein bhi
dosh par apne liye phirte hain zindan-KHana hum
rah mein faujon ke pahre sar pe talwaron ki chhanw
aae hain zindan mein bhi ba-shaukat-e-shahana hum
miTte miTte de gae hum zindagi ko rang-o-nur
rafta rafta ban gae is ahd ka afsana hum
ya jaga dete hain zarron ke dilon mein mai-kade
ya bana lete hain mehr-o-mah ko paimana hum
qaid ho kar aur bhi zindan mein uDta hai KHayal
raqs zanjiron mein bhi karte hain aazadana hum
(954) Peoples Rate This