Lu Ke Mausam Mein Bahaaron Ki Hawa Mangte Hain
lu ke mausam mein bahaaron ki hawa mangte hain
hum kaf-e-dast-e-KHizan par bhi hina mangte hain
ham-nashin sada-dili-ha-e-tamanna mat puchh
be-wafaon se wafaon ka sila mangte hain
kash kar lete kabhi kaba-e-dil ka bhi tawaf
wo jo patthar ke makanon se KHuda mangte hain
jis mein ho satwat-e-shahin ki parwaz ka rang
lab-e-shair se wo bulbul ki nawa mangte hain
taki duniya pe khule un ka fareb-e-insaf
be-KHata ho ke KHataon ki saza mangte hain
tirgi jitni baDhe husn ho afzun tera
kahkashan mang mein mathe pe ziya mangte hain
ye hai waraftagi-e-shauq ka aalam 'sardar'
barish-e-sang hai aur baad-e-saba mangte hain
(925) Peoples Rate This