Khule Hain Mashriq-o-maghrib Ki God Mein Gulzar
khule hain mashriq-o-maghrib ki god mein gulzar
magar KHizan ko mayassar nahin yaqin-e-bahaar
KHabar nahin hai bamon ke banane walon ko
tamiz ho to mah-o-mehr-o-kahkashan hain shikar
usi se tegh-e-nigah aab-dar hoti hai
tujhe bataun baDi shai hai jurat-e-inkar
kiye hain shauq ne paida hazar virane
ek aarzu ne basae hain lakh shahr-e-dayar
nashat-e-subh-e-bahaaran tujhe nasib nahin
tere nigah mein hai biti hui shabon ka KHumar
faroKHt hoti hai insaniyat si jins-e-giran
jahan ko phunk na degi ye garmi-e-bazar
yahi hai zinat-o-araish urus-e-suKHan
magar fareb bhi deti hai shoKHi-e-guftar
(959) Peoples Rate This