KHirad Walo Junun Walon Ke Viranon Mein Aa Jao
KHirad walo junun walon ke viranon mein aa jao
dilon ke bagh zaKHmon ke gulistanon mein aa jao
ye daman o gareban ab salamat rah nahin sakte
abhi tak kuchh nahin bigDa hai diwanon mein aa jao
sitam ki tegh KHud dast-e-sitam ko kaT deti hai
sitam-rano tum ab apne aza-KHanon mein aa jao
ye kab tak sard lashen be-hisi ke barf-KHanon mein
charagh-e-dard se raushan shabistanon mein aa jao
ye kab tak sim-o-zar ke jangalon mein mashk-e-KHun-khwari
ye insanon ki basti hai ab insanon mein aa jao
kabhi shabnam ka qatra ban ke chamko lala-o-gul par
kabhi dariyaon ki surat bayabanon mein aa jao
hawa hai saKHt ab ashkon ke parcham uD nahin sakte
lahu ke surKH parcham le ke maidanon mein aa jao
jarahat-KHana-e-dil hai talash-e-rang-o-nikhat mein
kahan ho ai gulistano garebanon mein aa jao
zamana kar raha hai ehtimam-e-jashn-e-bedari
gareban chaak kar ke shoala-damanon mein aa jao
(849) Peoples Rate This