Kabhi KHandan Kabhi Giryan Kabhi Raqsa Chaliye
kabhi KHandan kabhi giryan kabhi raqsa chaliye
dur tak sath tere umr-e-gurezan chaliye
rasm-e-derina-e-alam ko badalne ke liye
rasm-e-derina-e-alam se gurezan chaliye
aasmanon se barasta hai andhera kaisa
apni palkon pe liye jashn-e-charaghan chaliye
shola-e-jaan ko hawa deti hai KHud baad-e-sumum
shola-e-jaan ki tarah chaak-gareban chaliye
aql ke nur se dil kijiye apna raushan
dil ki rahon se su-e-manzil-e-insan chaliye
gham nai subh ke tare ka bahut hai lekin
le ke ab parcham-e-KHurshid-e-daraKHshan chaliye
sar-ba-kaf chalne ki aadat mein na farq aa jae
kucha-e-dar mein sar-mast-o-ghazal-KHwan chaliye
(832) Peoples Rate This