Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_b44c33847c890e7f898968cb25e5fe04, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Kaam Ab Koi Na Aaega Bas Ek Dil Ke Siwa - Ali Sardar Jafri Poetry In English - Darsaal

Kaam Ab Koi Na Aaega Bas Ek Dil Ke Siwa

kaam ab koi na aaega bas ek dil ke siwa

raste band hain sab kucha-e-qatil ke siwa

bais-e-rashk hai tanha-rawi-e-rah-raw-e-shauq

ham-safar koi nahin duri-e-manzil ke siwa

hum ne duniya ki har ek shai se uThaya dil ko

lekin ek shoKH ke hangama-e-mahfil ke siwa

tegh munsif ho jahan dar-o-rasan hon shahid

be-gunah kaun hai us shahr mein qatil ke siwa

jaane kis rang se aai hai gulistan mein bahaar

koi naghma hi nahin shor-e-salasil ke siwa

(881) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kaam Ab Koi Na Aaega Bas Ek Dil Ke Siwa In English By Famous Poet Ali Sardar Jafri. Kaam Ab Koi Na Aaega Bas Ek Dil Ke Siwa is written by Ali Sardar Jafri. Read famous Poem Kaam Ab Koi Na Aaega Bas Ek Dil Ke Siwa for youth and Student by Ali Sardar Jafri. Free Download Kaam Ab Koi Na Aaega Bas Ek Dil Ke Siwa in PDF.